Mobile Phone Ko super Fast Kaise Kare, Speed Kaise Badhaye in hindi

Kya Aapka mobile slow ho gya hai aur bar bar hang ho jata hai. Asa un sabhi mobile phone ke sath hota hai jo samay ke sath purane ho jate hai aur kabhi update nahi hote hai. Mobile ka hang hona kisi ko pasand nahi kyu ki hme mobile phone me sab kuch fast chahiye.
my achipost images
Aaj hum janenge ki mobile phone hang kyu hota hai aur mobile ko hang hone se kaise bachaye? Sath hi janenge ki android mobile phone ko fast kaise kare.

Mobile phone hang kyu hota hai

Jab bhi hum nya phone khridte hai to wo puri tarah se fresh hota hai. Usme koi user data aur cache file nahi hoti hai. Lekin kuch time baad mobile storage me temoprary files, application cache data aur user data bharne lagta hai jisse mobile ki speed par effect padta hai.

Mobile phone ki speed kam hone ya hang hone ka ek sbse beda karn ye hai ki hum mobile me bekar ki apps install kar lete hai. Hum un apps ka upyog to nahi karte lekin humare mobile ko un sabhi installed app ko process karna padta hai. Jisse mobile ki speed par fark padta hai.

Mobile phone ko  fast kaise kare

Aap in simple si tips ko use kar apne android phone ki speed me sudhar kar sakte hai.

Mobile update kare

Sabse pehle aap apne mobile ko update kare. Android phone ka update phone ki speed badhane ke liye hi banaya jata hai. Apne mobile ka update check karne ke liye Setting > About phone > Software update par click kare. Agar aapke mobile ka update available ho to aap use download karke install kar le.

Cached data clear kare

Hamare phone me bahut sari apps hone ke karan unka cache data store hota rahta hai. Jis app ka cache data adhik hoga wo utni dhire kaam karegi aur jab bhi hum use chalayenge to hamara mobile slow ho jayega.
Cache data clear karne ke liye Setting > Storage par jaye fir cached data par click kare aur clear kar de. Agar aapke setting me cached data ka option nahi hai to Setting > Apps me jaye. Fir us app par click kare jise aap sabse jyada chalate hai. Iske baad
Clear cache par click kare.

Apps ko uninstall kare

Agar aapke phone me bahut sari aisi apps hai jinhe aap kabhi bhi istemal nahi karte hai to unhe uninstall kar de. Aisa karne ke aapke mobile processor ko jyada kaam nahi karna padega.

Apps notification off kare

Jab bhi hum mobile me internet on karte hai to bahut sare notification aleart aa jate hai. Aise me mobile sabse jyada slow ho jate hai. Kisi bhi app ka notification alert band karne ke liye Setting > Apps me jaye. Fir us app par click kare jiska notification alert app band karna chahte hai. Yahan par aapko Show notifications
dikhai dega uske samne check ke nishan ko uncheck karde. Fir wo app kabhi bhi notification alert nahi dikhaygi.

Launcher ka use kare

Aap kisi bhi launcher app ka prayog kar sakte hai. Launcher mobile apps ki process ko limited kar deta hai jisse phone fast kaam karne lagta hai.

Home screen simple rakhe

Home screen par bahut sare widget hone se phone ki speed par asar hota hai. Animation wale wallpaper ka use na kare aur apps shortcut bhi kam se kam rakhe.

Data cleaning app ka use kare

Phone me data cleaner app ka use karne se user data aur cache file jama nahi ho pati hai. Kisi bhi ek data cleaner app ka use kare aur kuch der baad memory clean karte rahe. Kuch best data cleaner hai – Clean master,
App cache cleaner.

Auto synchronize off kare

Auto synchronize ek process hai jo hamare google aur facebook jaise account ke data ka adan pradan karti hai. Yeh process jab bhi internet chalu rahta hai chalti rahti hai. Ise band karne ke liye Setting > accounts me jaye aur auto-sync data ko off kar de.

Factory data reset karke

Ye option maine sabse aakhri me isliye bataya hai kyuki iska use karne par aapke phone reset ho jayega. Reset hone ke baad mobile phone ka sara data delet ho jayega aur phone fir se starting jaisa ho jayega. Ye option tabhi chune jab aap apne mobile ki speed se pareshan ho chuke ho. Aur aap sabkuch starting se karna chahte hai.

Factory reset ke liye Setting > Backup & reset par click kare. yahan aapko sabse pehle ‘ Backup my data‘ option dikhai dega. Pehle aap ek backup bana le ye backup aapke google account se server par upload ho jayega. Iske baad ‘ Factory data reset ‘ kar de.

In tips  se yakinan aapko apne mobile phone ki speed badhane me madad milegi. Agar aapke man me koi sawal hai to mujhse comment karke puch sakte hai.